AAO ABBAS

Ya Husain ...

Ya kaashif Al karbi..... Ya aqee abbas.....

ya Abbas Shah Abbas ya abbas

Zeyr e qanjar kaha mazloom Ney aao.. aao Abbas
Shimr sarr kaatney waala Hai bachaao... Bachaao Abbas

1) karb Shabbir ke chehrey se hataaney waaley
Aye mujhey ranj museebat see chudhaaney waaley

Aaj phir farz wohi apna nibhaao... Nibhaao abbas

2) saamney bacho ke aisa bhi kabhi hota Hai
Aisi gustaaqi ye karta Hai ke dil rotaa Hai

Shimr se aakey Meri zulfey chudhaao.... Chudhaao Abbas

3) kabhi qanjar ye dikhaata Hai kabhi hastaa Hai
Rakhkey Quran pey zaanu ye layee baithaa Hai

Kaun Hoon my ye isey yaad Dilaao.... Dilaao Abbas

4) usko kartaa Hoon ishaarey nahi jaati bachi
Minnatey karti Hai qaatil ki Hamaari beti

Merey pehluu se Sakina ko Uthaao.... Uthaao Abbas

5) do sadaa aaye na maqtal mey Meri maajaayi
Mujhsey is pyaas mey bolaa nahi jaata Bhai

Meri Aawaaz mey Aawaaz milaao... Milaao Abbas

6) jeetey jee ahley Haram jaa se guzar jaayengey
Zibha hotey huwey dekhengey to marjaayengey

Uthkey pardaa darr e qaima ka giraao.... Giraao Abbas

7) sarr Qalam ho Mera mujhko Hai gawaara Bhayya
Unko zaqm aaye ye bardaasht na hoga Bhayya

Haath gardan se meri maa ke hataao... Hataao Abbas

8) beyridaa dasht mey hojaaye na Meri hamsheer
Aaqri baat Hai phir Kuch na kaheyga Shabbir

Lekey Zainab ko madeeney chaley jaao... Chaley jaao Abbas

9) laasha ek nehr pey uth'taa Tha kabhi girtaa Tha
Ibney zehra Jo takallum ye sadaa deta Tha

Aaqri waqt Hai yaaseen sunaao... Sunaao abbas

Ya kaashif Al karbi..... Ya aqee abbas.....