Fatema zehra
Ghum e Husain mey kaisa sharaf ye paaya hai
Ke apney haatho se my ney Alam sajaaya hai
Sunaa hai aati hai majlis mey fatema zehra
Ye baat sochkey farsh e aza bichaaya hai
Karam ye majlis e Shabbir ney kiyaa warna
Kahaa gareeb ka Ghar aur kahaa Husain ki maa
1) qabar Hai bintey rasool e qudaa ke aaney ki
Badal rahii Hai hawaaye gareeb khaaney ki
Mera naseeb ke mehmaa'n huwi Meri zehra
Kahaa gareeb ka Ghar aur kahaa Husain ki maa
2) farishtey shaah o gadaagar sabhi Hai peysh e Nazar
Hai ambiya ki qataarey lagii merey Ghar par
Tumhaarey aaney se Bibi ye martaba paaya
Kahaa gareeb ka Ghar aur kahaa Husain ki maa
Fatema zehra
Ye majlis e Shabbir mey behtey huwey aansu
Firdaus ke baago mey sajaa deti hai zehra
Shehzadi zamee'n par isey girney nahi deti
Bachjaaye to kausar mey milaa deti Hai zehra
3) ye nauhakhwani ye soz o salaam aur maatam
Hamaarey ashq Hai Bibi ke zaqm ka marham
Agar na hotey waseela ye maatam o nauha
Kahaa gareeb ka Ghar aur kahaa Husain ki maa
4) gareeb khaaney ko Jannat banaadiya Bibi
Qushi ye aisi Hai jisney rulaadiya Bibi
Har eak ashq ney aankho se girtey girtey kahaa
Kahaa gareeb ka Ghar aur kahaa Husain ki maa
5) sarr e Husain Jo sheeree'n ke Ghar mey aaya Tha
Sarr e Husain ke hamraah aayi thi zerha
Jo dekha Bibi ko sheeree'n ney ye kiyaa nauha
Kahaa gareeb ka Ghar aur kahaa Husain ki maa
Haaye,
Jab kisii Ghar mey koi marjaaye
Dunya ghum baatney ko aati Hai
Haaye kitni gareeb Hai zehra
Pursa leney bhi chalkey aati Hai
Ya Husain ya Husain
Ghar mey merey majlis huwi
Aur bichgaya farsh e aza
Zaakir ne jab majlis padhi
Aur haal ruqsat ka Jo padhaa
Itna royii zehra
Farhan aur mazhar padha
Nauha shah e mazloom ka
Tha zikr jab aashur ka
Shabbir par qanjar chalaa
Itna royii zehra
Detey rahey ahley aza
Gaazi ka pursa Sarwar ka pursa
Akbar ka Qasim ka Asgar ka pursa
Itna royii zehra
Zainab ka kulsoom o Fizza ka pursa
Sajjad baali Sakina ka pursa
Itna royii zehra
Baali ka pursa chaadar ka pursa
Auon o Mohammad ka baaqar ka pursa
Itna royii zehra
Naizo pey rakkhey har ek sarr ka pursa
Bibi tumhaarey bharey Ghar ka pursa
Itna royii zehra
Social Plugin