Lyrics

HUSAIN (AS)....4

Goonjti Fazaien Hai, Matami Sadaien Hai, Jis Taraf Nazar Dale Kafle Hazaron Hai
Ya HUSAIN (AS), Ya HUSAIN (AS).....2

Kaflon Ke Seenon Mein, Dard Ke Safinon Mein, Ashk Khoon Ke Dhare, Door Tak Alam Sare
Ya HUSAIN (AS), Ya HUSAIN (AS).....3

Yeh Karodha Insan, Dekh To ALI (AS) Ki Jaan, Tere Gam Mein Hai Giryan, Inki Karbala Manzil, Hai Hatelion Par Dil, Jhel Kar Har Ek Mushkil, Ek Sada Labon Par Hai, Tera Gam

Rahe Aabad, Aai HUSAIN (AS) Zindabad

Aai HUSAIN (AS) Zindabad.....4
Ya HUSAIN (AS), Ya HUSAIN (AS).....3
Maulana Ya HUSAIN (AS).....6

Zindabad Ya HUSAIN (AS).....4
Zindabad Arz E Karbala

Maulana Ya HUSAIN (AS).....4

Deen E Haq Ka Pazban, RASOOL E HAQ (SAWW) Ka Tarjuma
Husainiyat Ka Saiban, Mohabbaton Ka Aashiyan
Tu NABI (SAWW) Ka Zeb O Zain Hai, Tu ALI (AS) Ka Noor E Aain Hai, FATEMA (SA) Ke Dil Ka Chain Hai.......
La Ela .....Ya HUSAIN (AS)
Dee Panah .....Ya HUSAIN (AS)

HUSAIN (AS)....

Zindabad Ya HUSAIN (AS).....2
Zindabad Arz E Karbala.....
Maulana Ya HUSAIN (AS).....4



Salam SHAH E KARBALA (AS), Tu Irada E Khuda
Bada Baland Hausla, Nahi HUSAIN (AS) Dusra
Kabhi Kahin Na Tera Sar Jhuka, Baland Tha Baland Yeh Sar Raha, HUSAIN (AS) Izzaton Ka Badshah
Mahaba..... Ya HUSAIN (AS)
Cha Gaya..... Ya HUSAIN (AS)

Zindabad Ya HUSAIN (AS).....2
Zindabad Arz E Karbala.....
Maulana Ya HUSAIN (AS).....4

Pukare Ahle Kafela, HUSAIN (AS) Ne Jo Yeh Kaha
Safar Hai Yeh Maut Ka, Har Ek Rafiq Bol Utha
Nahi Hai Koi Maut Ka Khatar, HUSAIN (AS) Jub Hamara Hum Safar, Ajal Milaie Hum Se Kya Nazar,
Rehnuma..... Ya HUSAIN (AS)
Peshwa..... Ya HUSAIN (AS)

HUSAIN (AS)....

Zindabad Ya HUSAIN (AS).....2
Zindabad Arz E Karbala.....
Maulana Ya HUSAIN (AS).....4

Zulmaton Se Jung Ki, Bidaton Se Jung Ki
Nafraton Se Jung Ki, Munafiqon Se Jung Ki
Tu Nizame Inqalab Hai, Tu Payam E Inqalab Hai, Tu Imam E Inqalab Hai
Inqalab ..... Ya HUSAIN (AS)
Kamyab..... Ya HUSAIN (AS)

Zindabad Ya HUSAIN (AS).....2
Zindabad Arz E Karbala.....
Maulana Ya HUSAIN (AS).....4

Watan Se Apne Door Tha, Tu Mard E Be Kusoor Tha
Gamon Se Choor Choor Tha, Magar Woh Kya Shahoor Tha
Sitam Utha Ke Hosh Mein Raha, ????? Ho Ke Josh Mein Raha, Lahu Se Surkh Posh Mein Rah
Josh Kya.....Ya HUSAIN (AS)
Hosh Kya..... Ya HUSAIN (AS)

HUSAIN (AS)....

Zindabad Ya HUSAIN (AS).....2
Zindabad Arz E Karbala.....
Maulana Ya HUSAIN (AS).....4

Woh Sara Ghar Luta Gaya, Woh Khoon Mein Naha Gaya
Sina Pe Sar Bhi Aa Gaya, Magar Woh Deen Bacha Gaya
Gavahi De Rahi Hai Karbala, HUSAIN (AS) Kamyab Ho Gya, yazeed  (LA) Ka Nisha Bhi Na Raha
Surma..... Ya HUSAIN (AS)
Har Jagah..... Ya HUSAIN (AS)

HUSAIN (AS)....

Zindabad Ya HUSAIN (AS).....2
Zindabad Arz E Karbala.....
Maulana Ya HUSAIN (AS).....4

Laraz Rahi Thi Karbala, Tadap Rahe The Ambia
Jo Sajda Aakhri Kiya, Nibha Ke Wada E Wafa
Na Zeen Na Zameen Par Raha, Gavah Hai Dua E Nahiya, Tadap Rahe Hai Hujjate Khuda,
As Salam..... Ya HUSAIN (AS)
Ya Imam..... Ya HUSAIN (AS)

HUSAIN (AS)....

Zindabad Ya HUSAIN (AS).....2
Zindabad Arz E Karbala.....
Maulana Ya HUSAIN (AS).....4

Rehan O Sarwar E Aza, HUSAIN (AS) Ka Hai Mojiza
Jo In Ke Dar Pe Aagaya, Misal E  Hur Sawar Gaya
Pukar Ti Hai Sub Ko Karbala, HUSAIN Ka Hai Dar Khula Hua, Faqeer Ko Kare Jo Badshah
Rab Tera..... Ya HUSAIN (AS)
Sar Tera.....Ya HUSAIN (AS)

Zindabad Ya HUSAIN (AS).....2
Zindabad Arz E Karbala.....
Maulana Ya HUSAIN (AS).....4