Lyrics

Aa Raha Hai Taboot E HUSAIN (AS) E Gareeb
Wa Waila......6

Aa Raha Hai Taboot E HUSAIN (AS) E Gareeb.....6
Wa Waila......6

Momino Uthta Hai Taboot E Gareeb E ZEHRA (SA)
Jisko Nau Lakh Laeenon Ne Daga Se Mara
Pusht E Gardan Se Jise Hai Gazab Katl Kiya
Darmiyan Zeen Aur Zameen Ke Raha Jiska Lasha
Chaudah Sadion Se Jise Ahle Aza Rote Hai
Aaise Bekas Ko HUSAIN (AS) Ibne ALI (AS) Kehte Hai

Aa Raha Hai Taboot E HUSAIN (AS) E Gareeb.....3
Wa Waila......4

Us Ka Taboot Hai Jis Ne Hai Bada Gam Dekha
Apna Ghar Lut Te Hue Dasvi Moharram Dekha
Apne Ansar Rafikon Ko Labe Dam Dekha
Akbar (AS) O Qasim (AS) O Abbas (AS) Ka Matam Dekha
Subho Se Shaam Talak, Lashon Pe Lashe Laya
Uski Ek Lash Koi Bhi Na Utha Ne Aaya

Aa Raha Hai Taboot E HUSAIN (AS) E Gareeb.....3
Wa Waila......4

Jub Bhi Taboot Yeh Uth Tha Hai Kahin Wawaila
Shaam Se Is Ki Bahan Aati Hai Karne Girya
Sath Ek Bacchi Bhi Aati Hai Sunane Nauha
Apne Baba Ke Azadaron Ko Deti Hai Dua
Daud Ke Baba Ke Taboot Pe Gir Jati Hai
Hai Taboot Se Rone Ki Sada Aati Hai

Aa Raha Hai Taboot E HUSAIN (AS) E Gareeb.....3
Wa Waila......4



Is Ka Ek Beta Tha Atthara Baras Ka Akbar (AS)
Aiyohal Badre Tamammi Tha Yehi Noor E Nazar
Byah Ke Din The Bahut Khush Thi Bahan Aur Madar
Hay Afsos Sinah Kaat Gai Uska Jigar
Is Ki Majboor Zaieefi Ko Kandha Dene, Aaj Aaya Hai Yeh Taboot Ko Kandha Dene

Aa Raha Hai Taboot E HUSAIN (AS) E Gareeb.....3
Wa Waila......4

Jiska Taboot Hai , Ek Bhai Tha Iska Safdar
Log Kehte The Use Karbobala Ka Haider (AS)
Hoke Be Dast Gira  Jub Woh Zameen Ke Upar
Bus Ushi Din Se Na Seedhi Hui Bekas Ki Kamar
Jub Jahan Bhi Kahan Taboot Baramad Yeh Hua
Badh Ke Karta Hai Alamdar (AS) Ka Parcham Chaya

Aa Raha Hai Taboot E HUSAIN (AS) E Gareeb.....3
Wa Waila......4

Zer E Taboot Jo Nana Se Gehwara Hai
Isse Zahir Hai Ke Baba Ko Bahut Pyara Hai
Kurta Is Bacche Ka Bhi Khoon Mein Tar Sara Hai
Iske Hathon Pe Laeeno Ne Ishe Mara Hai
Sath Taboot Ke Shamil Hai Azadaron Mein
Sub Se Kamsin Yeh Azadar Hai Gamkhwaron Mein

Aa Raha Hai Taboot E HUSAIN (AS) E Gareeb.....3
Wa Waila......4

Asr Ka Waqt Tha Gash Kha Ke Jo Ghode Se Gira
Is Nihatte Pe Hazaron Ka Jo Lashkar Toota
Ho Ke Behosh Yeh Phir Zeen Se Ghode Ki Gira
Darmiyan Zeen O Zameen Hay Badan Tha Iska
Thi Bahan Samne Jub Seene Pe Jallad Chadha
Maa Ke Zanu Pe Tha Jub Hai Gala Iska Kata

Aa Raha Hai Taboot E HUSAIN (AS) E Gareeb.....3
Wa Waila......4

Shor E Matam Me Yeh Kaun Aaya Basad Aah  O Buqa
Ke Log Chilla Ne Lage Ya ALI Haider Maula (AS)
Sath Ek Bibi Hai Odhe Hue Kala Burkha
Kehti Hai Maan Hu Teri Pehlu Shakista ZEHRA (SA)
Kya Adab Sarwar O Rehan Nazar Aata Hai
Maan Padar Ke Liye Taboot Jhuka Jaata Hai

Aa Raha Hai Taboot E HUSAIN (AS) E Gareeb.....3
Wa Waila......4