(Maula ghum zada natawan sarbaan) x3
Waapis madine agaya lo karwaan ujra huwa
Ujri thi saari bibiyan, sajjad ka nawha ye tha
(Roenge tauqo beriyan) x3
Who shaam aur mein alamaan
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
Logo madina lutgaya
Koi nahin mere siva
(Daghon se he sina bhara) x2
Tanha karun kya kya bayaan
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
Hajat talaq who mehrebaan
Abbas who meere karwaan
(Mara gaya kya nagahaan) x2
Akhir liye unka nishaan
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
Kitna kathan tha who safar
Nezon pe the pyaron ke sar
(Uthti na thi meri nazar) x2
Beparda behne aur maa
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
Gham tha qayamat se bara
Charo taraf the ashkiya
(Naamus meri berida) x2
Rota tha sun sun kar azaa
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
Kya ronake bazaar thi
Patthar ki bhi bochhar thi
(Aur who hasi kuffar ki) x2
Khamosh thi meri zabaan
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
Us shaam ke bazaar ne
Who gham diye darbaar ne
(Jab mein laga lalkaarne) x2
Dene lage zaalim azaan
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
Hajat talaq who mehrebaan
Abbas who meere karwaan
(Mara gaya kya nagahaan) x2
Akhir liye unka nishaan
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
Logo madina lutgaya
Koi nahin mere siva
(Daghon se he sina bhara) x2
Tanha karun kya kya bayaan
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
"Rehan-o-sarwar" umr bhar
Aankhein rahengi nawha gar
(Jis waqt farshe dard par) x2
Nawhe mein hogaya ye bayaan
(Aisa bana mein saarbaan) x2
(Maula ghum zada natawan sarbaan) x2
Social Plugin