Ya Aliyun Ya Aliyun Ya Aliyun
Haaye...
Salam ullah ala ehbabika Ya Ali

Ali asadullah Ali Waliullah
ALI
Ya Haider
Ali
Ya Haider
Ali asadullah Ali Waliullah
ALI
Ya Haider
Jisko Allah rakhy dost woh insan Ali
Wajehullah Ali rab ki hai pehchan Ali
Hai lisan Ullah Ali Natiq e Quran Ali
Aye mere murshid o aqaa mere emaan Ali
Barzaq O qabar mein mehshar mein nigehbaan Ali
Door qadmon se na rakhna mujhe ek aan Ali

Tujh se jur jaao'n ga maula toh sanwar jaao ga
Mein tere Ishq mein dooba toh ubhar jaao ga

Salam ullah Ala ehbabika Ya Ali
ALI Asadullah Ali Waliullah
Ali
Ya Haider

In charkh ba angusht e shuma micharkhad
Khake Qadamat arsh e Khuda migardad
Wallah Qasam khana e Kabeh Har roz
Dor e sar aiwan e talami gardad

Salam ullah ala ehbabika Ya Ali
Ali asadullah Ali Waliullah
Ali
Ya Haider
Mere sarkar Hussain ibn Ali ke baba
Surkh parcham ke nigehdar jari ke baba
Gyarah masoomon ke sardar sabhi ke baba
Qatl e mohsin ke aza dar kali ke baba
Bibi Kulsook(a.s) ke Zainab (a.s) ke misali baba
Qaim e Aal e Muhammad jalali baba



Salam ullah ala ehbabika Ya Ali
Ali asadullah Ali Waliullah
Ali
Ya Haider
Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Ali asadullah Ali Waliullah
Ali
Ya Haider
Dushman e Haider e Qarar Khuda ka dushman
Dushman e Rab ka Nabi se nahi koi bandhan
Ibn e marjanh ho muljim ho ya shimr e joshan
Arsh o farsh peh dozakh ka yeh hi hai e'ndhan
Lab e Quran se in logo'n per laanat utri
Inki naslon me Ali se na mohabat utri
Laanatullah ala aadaika
Ya Ali
Laanatullah ala aadaika
Ya Ali
Ali asadullah Ali Waliullah
Ali
Ya Haider
Aalam e ishq mein yaksa'n hai muhibaan Ali
Buzar o qambar o salman gadayaan e Ali
Dost daaran e Khuda saray rafiqaan e Ali
Had toh hai ke Khuda khud hai sana khawn e Ali
Laal o Jibreel nazar aaty hein darban e Ali
Shahiya'n baant te phirtay hein Faqiran e Ali

Salam ullah ala ehbabika Ya Ali
Ali asadullah Ali Waliullah
Ali
Ya Haider
Maanand e khodaye khawashi be hamata bood
Reezeh khur e sufreh ash hameh duniya bood
Guyand Ali beh dast e khayber Shiknas
Angushtary Ya Fatimat-u-zahara bood

Salam ullah ala ehbabika Ya Ali
Ali asadullah Ali Waliullah
ALI
YA Haider
Char gham aisy hein jin per tha Ali girya
Pehla gham Hazrat e Hamza ka kaleja chhidna
Dusra gham abu Talib ka juda hojana
Teesra gham tha bara Rahlat e Mahboob e Khuda
Chotha gham tha gham e Zahra jo lahad tak pohncha
Dushmani Haider e Qarar ki roky na ruki
Badar ki aag thi jo karbobala tak pohnchi
Laanatullah ala aadaika
Ya Ali
Laanatullah ala aadaika
Ya Ali
Ali Asadullah Ali Waliullah
Ali
Ya Haider

Karbala kia hai? Charagh e sar e aiwan e Ali
Karbala kia hai? Bajuz saya damaan e Ali
Karbala kia hai? Sajaya hua maidan e Ali
Karbala kia hai? Aza khana e Arman e Ali
Karbala kia hai? Azizan e Ali ki mehnat
Karbala ho gai ehbab e Ali ki janat

Salam ullah ala ehbabika Ya Ali
Ali asadullah Ali Waliullah

Ali
YA Haider

Haan...
Maqsad e Ishq Ali sarwar o rehan tha kia?
Aai yeh masjid e kufa ki fizaon se sada
Eshq kia ishq tha ma baine khuda o bandah
Tohfa e maut jo maashuq se aashiq ko mila
Kamiyabi ka andaz nirala dekha
Barh ke aashiq ne kaha Fuzto birabil Kaabah
Salam ullah ala ehbabika Ya Ali
Ali asadullah Ali Waliullah
Ali
Ya haider
Ya raba barai padar aba Abdillah
Bar lehzai e akhir e aba Abdillah
Roz e arafeh kaash keh zaair baasham
Dar sehn e mutahara e Aba Abdillah

Salam ullah ala ehbabika Ya Ali
Ali asadullah Ali Waliullah
Ali
Ya Haider