Ay shere nayastane haidar
Ay (sakhi babul haawaij) x2
Bawafa Abbas
As salaam ay bawafa babul hawaij As salam
Bekaso(n) ka aasra babul hawaij as Salam
(Qaime ale Muhammad)x2 kul imamon ka salaam
Ey duae sayyada babul hawaij as Salam
Who roz ke jiska wada he
Who roz yaqeenan aayega
Insaa(n) ka muqaddar badlega
Jab noore imamat chhayega
Gunje gi sadae jaaul haq
Aur mehdie dauraan ayega
Us roz se saare aalam me
Bas ek alam lehraega
Ghazi ka alam is saya
Jo kal bhi tha jo aaj bhi he
Aur is ka karam kal bhi hoga
( Abbas ) x3
1. Surajon mein chand band kar is tarah zinda raha
Chadare zehra ke saaye mein sada palta raha
Ye ali ibne abi talib ka sarmaya raha
Zainabo kulthum ki bhi aankh ka tara raha
(Salam abbas ya maula) x3
2. Hurmate deene nabi zehra ke ghar ki aabru
Dil he ye ummul bane(n) ka aur haidar ka lahu
Seerate shabbir o shabbar ka sarapa hubahu
Panjatan ke darmiyaa(n) kiska sharaf aisa
(Salam abbas ya maula) x3
3. Ye woh ghar he jis taraf dekha humein maula mila
Har taraf maula hi maula ibteda ta inteha
Gird maulaon ke ye ghazi he maulae wafa
Ey khuda maula nabi maula ali maula
(Salam abbas ya maula) x3
4. Hay ali ki baadshahi aasma(n) ho ya zamee(n)
Hay ali isme ilaahi Mustafa ka jaanashee(n)
Doosra Haider nahin he doosra ghazi nahin
Ya ali kehta zabaa(n) ke saath dil bola
(Salam abbas ya maula) x3
5. Barh raha he jaanibe darya alam abbas ka
Kon rokega bhala barhta qadam abbas ka
Haa(n) magar Shabbir ko sehna he gham abbas ka
Umre shabbiri se apne ghaiz ko roka
(Salam abbas ya maula) x3
6. Al amaa(n) woh mashk ka chhidna tarapna sher ka
Ya Sakina Alwida kehkar who girna sher ka
Dekhti hi rehgayi rasta Sakina sher ka
Marke bhi seene se liptaeya tha mashkiza
(Salam abbas ya maula) x3
7. Who karam lillah barhaale ghareeba(n) ya safeer
Aap se hi lo lagaye hein ye saare maatami
“Sarwaro rehan” ki qayim rahe ye naukri
Ey sakhi babul hawaaij fazl ke baba
(Salam abbas ya maula) x3
Saqa-e-Sakina
Social Plugin