(Haay Saadat aur zindan) x2
(Haaye sadaat haaye zindaan) x2
(Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai) x2
Dukhtare Fatema ghairat se mui jaati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
Aasman door zameen sakht kidhar jaaoun mein
Yahi behtar he ke dunya se guzar jaaoun mein
Bibiyon milke duaa maango ke marjaaun mein
Maut aati hi nahin jaan khichi jaati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
Amaad-e-hind ka ghul itrat-e-shabbir mein he
Shor-e-matam haram-e-saahib-e-tathir mein hein
Kehti he jaaoun kahan paaon to zanjeer mein he
Paaon uthta he to zanjir lipat jaati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
Aa idhar bibi Sakina se ye Zainab ka bayaan
Hind darbar se jab aayegi su-e-zindaan
Sabr tum ko he dikhana na uthe shoro fughaan
Haaye ye din bhi aseeri tumhe dikhlaati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
Dare zindaan pe huwa itne mein ambohe kamaal
Jaane haatim ka he zindaa(n) mein nuzoolo ijlaal
Qaidiyon uth ke dua deke karo istikbaal
Zawja-e-haakime doraan he jo ye aati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
Hind ne dekhke raandon ki taraf di ye sada
Kiska yusuf he ye zindaan mein giraftaare bala
Bibiyaan kiski hai rakhti jo nahin sar pe rida
Un ke chehron se to kuchh aur jhalak aati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
Dekhti kya he ke ik sher he aahan mein niha
Laagharo khastatanon faaqakasho Tashnadahaan
Naa to chalne ki taqat he na koi rishtae jaan
Ghustakhaanon se larazne ki sada aati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
Aayi nazdeek jo Sajjad ke Hind-e-dilgeer
Boli woh konsi isyan ki mili ye tazeer
Bole dasween ki muharram ki joh pehni zanjeer
Aaj taqdeer bhi qaidi humein kehlati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
Hind ne puchha maraz kya he kaha bepadari
Ghar jo daryaft kiya kehne lage darbadari
Boli leta he khabar kon kaha bekhabari
Jo khabargeer the unko to lahed bhaati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
Baba sahib ke gale par jo na khanjar phirta
Inke sar khulte na mein kaanton pe dar dar phirta
Aur madine ki taraf sab ko mein le kar phirta
Yaad hazrat mei watan ki humein tarpaati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
Hind ne naam madine ka jo abid se suna
Khaak par beth gayi haal ye taaqeer huwa
Boli kya zainab-o-kulsum se nisbat he bhala
Aise chehron se to khushbu-e-wafaa aati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
Boli Zainab ke na le Zainab-o-Kulthum ke naam
Woh nabi zaadiyan he qaid mein unka kya kaam
Hind boli inhi baton mein hein sab un ka kalaam
Kyun meri ruh tumhe dekh ke ghabraati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
Jo bhi surat he woh maasum nazar aati he
Qudrate khaaliq-e-qayyum nazar aati he
Koi Zainab koi Kulsum nazar aati he
Un se taqdeer ye kis haal mein milwaati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
Gird aabid ke phiri phir woh ba haal-e-tagheer
Bole woh kon ye chillai kaneez-e-Shabbir
Assalaam ay rasan-o-tauq-o-salaasil ke aseer
Nawha karti huwi qadmon mein giri jaati he
Qaid khaane mein talaatum he ke hind aati hai
Bas "Dabeer" ab gham-e-shabbir se larzaa he jigar
Hind bhi mehw-e-azaa aaj huwi nang-e-sar
Qaidkhaane mein huwa sina zani se mehshar
Yehi majlis he jo khud marsiya kehlaati he
Haaye sadaat aur zindaan
Social Plugin