(Ya Hussain) x3
Mera nana nabi meri maa sayyada
Mera baba ali mera bhai hasan
Hum hi hein panjatan
Meri kya he khata, mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
(Kya mein zahra ka jaya nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
(Mere nana ne kalma sikhaya
Aur quran tumko sunaya) x2
(Kya ma nana ka saaya nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
(Who madina jahaan mera ghar he
Aur masjid mein us ghar ka ghar he) x2
(Kya mein us ghar mein khela nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
(Chakkiya pees kar maan ne paala
Mujhko nana ne jhula jhulaya) x2
(Apna bachpan mein bhula nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
(Kamli wale ke lab chumta tha
Kitna pyara mera bachpana tha) x2
(Kya mein unka dulhara nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
(Mein jo paani kabhi maangta tha
Kyun tarapti thi maa ab mein samjha) x2
(Paas asghar ke jaata nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
(Mein jo chahun baras jaaein badal
Khun mein duba nazar aaye maqtal) x2
(Jang karne mein aya nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
(Ik sada thi ye "rehaan-o-sarwar"
Kehrahe the Hussain ibne haider) x2
(Kya mein mehman aaya nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Mujhpe kyun band karte ho pani
Kya Muhammad ka pyara nahin hun
(Kya mein zahra ka jaya nahin hun) x3
Kya nabi ka nawasa nahin hun
Social Plugin