(Sughra gash se chownk kar uthi) x2 Boli sar ko pit'ti huwi. (Haye meri nind ur gar ayi) x2 (Mere baba khairiat se ho) x2
(Mere baba khairiat se ho) x4
Dekha aj mene kaisa khwaab. Reyt par pare hai kuch gulab. Chun rahe hai jinko buturab. Khun ro raha hai aftab. Haye meri nind ur gayi
(Mere baba khairiat se ho) x4
Ik taraf alam hai khun me tar. Juk gayi hai shah ki kamar. Jaa rahi hai jis taraf nazar. Bibiya khari hai nang sar. Haye meri nind ur gayi
(Mere baba khairiat se ho) x4
Hay hay kasim-e-jawaan. Bayn kar rahi hai jiski maa. Hil gayi zamin or asman. Tori jab dulhan ne churiya. Haye meri nind ur gayi
(Mere baba khairiat se ho) x4
Ek bachi sina-e-padar. Dundh ti rahi idhar udhar. Baap so raha tha khak par. Jis ke tan se kat chukaa tha sar. Haye meri nind ur gayi
(Mere baba khairiat se ho) x4
Kayd hai rasul-e-zadiya. Hath me bandhe hai rassiya. Bekajaawa hai amaariya. Khun ro raha sarebaa(n). Haye meri nind ur gayi
(Mere baba khairiat se ho) x4
Khwab ye bara ajeeb tha. Badshah dee(n) gharib tha. Kya yahi mera nasib tha. Bekafan mera tabib tha. Haye meri nind ur gayi
(Mere baba khairiat se ho) x4
Social Plugin