Mil kay sab matam-eshabbir(as) karay x4
Dil ba dil sena ba sena karbala taameer karay
Mil kay sab matam-eshabbir(as) karay x4
1- yea matam pahchan hamari
Is pay jaan kurban hamari
Jism yeahi yea jaan hamari
Yea matam hai shaan hamari
Kahta hai iimaan hamara, saray jawn o peer karay
2- asghar teri pyas ka matam
Akbar ka abbas ka matam
Akbar(as) ka abbas (as) ka matam
Hasrat ka aur yaas ka matam
Hasil hai ahsaas ka matam
Laakh zamana hum ko roo kay, hum iss ki tasheer kary
3-yea matam mazloom ka matam
Zehra(as) kay masoom ka matam
Pani say mahroom ka matam
Taig talay halqoom ka matam
Iss matam say hum jo chaay, waqt ko zanjeer kary.
4- abid(as) ki zanjeer ka matam
Khusk galay aur teer ka matam
Zainab(as) ka shabbir(as)(as) ka matam
Dil say kary dilgeer ka matam
Jo matam zainab(as) nay kya tha, hum uss ki tasheer kary
5- matam jis ka darya darya
Jis ki wafai imaan ka chera
Jis kay alam ka khoon mai phara ra
Doob gaya wo chand na dhoba
Iss ki wafa kahti hai hum say dunya ko taskheer karay
6- yaad mai teri sham -e gariba
Matam karnay walay insaan
Kartay hai jab chaak gariba
Zehra khud hoti hai girya
Sunnat -e- zehra hai yea matam iss ko aalam geer karay
7- karna saki jo bhai ka gham
Iss zainab(as) ki yaad mai ab hum
Ranjo khusi say kar kay baham
Har din samjay mah-e-muhram
Zakhm -e- dil zainab(as) ki khatir
Koii dawa akseer karay.
8- jin kay rasan mai hatm bandhay thay
Kaisay bhala wo matam kartay
Inn ki dilo mai yaad basa kay
Nohay ki matam ki sada say
Ahlay aza zehra(as) ki duaa say, khud ko jageer karay
9- mola aisa zarf ata kar
Yea matam soogaat bana kar
Ley jaay seeno mai basa kar
Sher e najaf mai dil mai basa kar
Apni azadari ka tahfa , nazar -e khaibar geer karay
10- kah deangay rehan o sarwar
Hashr mai jab khatoom mahshar
Pochay gii yea baat jo aa kar
Chaiyea kya matam ki bina par
Hum kah deangay hum to ghulam o shabar o shabbir(as) karay.
Social Plugin