Neze se asghar ko nazar ayi jo madar. Dekha khula sar hai pareshan he muztar. Rone lage kehne lage tab ali asghar. (Maa muje apna sine se lagaale. Maa muje apni godi me chupale) x2

(Maa me naize pe hu) x2 Maa muje apni sine se lagaale. Maa muje apni godi me chupale (Maa me naize pe hu) x2

    Amaa bohat din huwe jule me na soya. Maa teri izat ki kasam phir bhi na roya. Ab tuje dekha to mere lab huwa goya. Aaj bandhe hatho ko jula sa banaa le. Sine se lagaale. Maa me naize pe hu.

    (Maa me naize pe hu) x2 Maa muje apni sine se lagaale. Maa muje apni godi me chupale (Maa me naize pe hu) x2
    Jism kahaa sar he kahaa haye mukaddar. Amaa badan rehgaya karbal ki zamin par. Amaa tere sath chalaa aye mera sar. Karta tuje kaise laaino ke hawale. Sine se lagaale. Maa me naize pe hu

    (Maa me naize pe hu) x2 Maa muje apni sine se lagaale. Maa muje apni godi me chupale (Maa me naize pe hu) x2
    Garm hawaa garm zamin jalta huwa tir. Amaa zara socho mera kad se baraa tir. Kaise kahoo halk pe jis wakht lagaa tir. Hogaye bahosh muje dekhne wale. Sine se lagaa le. Maa me naize pe hu

    (Maa me naize pe hu) x2 Maa muje apni sine se lagaale. Maa muje apni godi me chupale (Maa me naize pe hu) x2

    Kabse sakina ne nahi mujko kiya pyaar. Karbobala kufa kaha sham ka bazaar. Darti Hai kya khun se bhare dekhke ruksar. Neze ke nazdik zara usko bulale. Sine se lagaale. Maa me naize pe hu.

    (Maa me naize pe hu) x2 Maa muje apni sine se lagaale. Maa muje apni godi me chupale (Maa me naize pe hu) x2
    Duph me tune na kabhi gar se nikaala. Amaa bare pyaar se tune muje palaa. Aaj nahi koi muje dekhane wala. Tuhi muje dhoop se shiddat se bachaale. Sine se lagaa le. Maa me naize pe hu.

    (Maa me naize pe hu) x2 Maa muje apni sine se lagaale. Maa muje apni godi me chupale (Maa me naize pe hu) x2
    Dekh tera Lakhte jigar yun to he asger. Neza sawaari he Akabar ke baraa bar. Noke sina par he sitaara sa mera ghar. Meri shujaat pe gale mujko lagaale. Sine se lagaale. Maa me naize pe hu.

    (Maa me naize pe hu) x2 Maa muje apni sine se lagaale. Maa muje apni godi me chupale (Maa me naize pe hu) x2
    Baba ka sar bhayi ka sar noke sina par. Aap ke sarpe nahi ama koi chadar. Kaise me bardash karu ama ye manzar. Jalti huwi khak se moo apna chupale. Sine se lagaale. Maa me naize pe hu.