(Khudaya) x4
Koi ho to chale khudaya. Koi ho to chale Istighasa hai sar-e-daar Koi ho to chale Aik pyaase pe hai yalghaar. Koi ho to chale Istighasa hai sar-e-daar
(Koi ho to chale) x2
(Qaafile so gaya maqtal mein sare shaam sabhi) x2 Reh gaya Qaafila saalar
(koi ho to chale X2)
(Aik beta hai jo gehwaare se utra naa kabhi) x2 Doosra beta hai beemar(
koi ho to chale X2)
(Khud ko jhule se ghira dete hai jaane waale) x2 Kown aisa hai wafaadar
(koi ho to chale X2)
(reh gaya naizon ke jangal mein musaffir tanha) x2 Ye shahadat ke hain aasar
(koi ho to chale X2)
(Lamha lamha ye sadaa deti hai aashoor ki shaam) x2 Beriyan hoti hain tayyar
(koi ho to chale X2)
(Allah Allah ye lahu pehnaye huwe tanhaayi) x2 Lut gayi kis ki ye sarkaar
(koi ho to chaale X2)
(Ye hain naamoos-e-nabi khayme se kaise nikle) x2 Kya kare saahib-e-kirdaar
(koi ho to chale X2)
(Jaane ye kown pase khayma hai girya girya) Hai koi is ka azaadar
(koi ho to chale X2)
(Jis tarha se dare zindaan pe sakina ro eey) x2 Saath roo-ay- daro deewaar
(koi ho to chale X2)
(Kis ke lehje mein Ali bol rahen hai logo) x2 Kown bola sar-e-darbaar
(Koi ho to chale X2)
(Beriyaan jis ki musibat pe lahu roti hain) x2 Kown aaya sar-e-baazar
(koi ho to chale X2)
(Jo ho us fawj-e-mukhaalif ka sipahi na chale) x2 Han magar Hur ka tarafdaar
(koi ho to chale X2)
(Ye sadaa aaj bhi maqtal se hilal aati hai) x2 kown haq ka hai talabgaar
(koi ho to chale X2)
Koi ho to chale khudaya koi ho to chale khudaya
Social Plugin