Qafela lutgaya amma mera lashkar na raha, amma nana ki nishaani Ali Akbar na raha, rehgaya dard-e-kamar haaye baradar na raha. Ab khabar aapne li ghar ki ke jab ghar na raha. Aur ab dam-e-zibha ye pure mere armaa(n) karna. Arsh ke niche na baalo(n) ko parishaa(n) karna
(Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par) x3
Aap aayi hai amma mei salaami ko na uttha
Hai dard kaleje mei jo uthna nahi deta
Hasrat se tere pehle mei dam mera nikalta
Mei cheyn se sojata tere god mei madar
Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par
Are kuch deyr mei neze pe rakha honga mera sar
Na dekhna us waqt mujhe madar-e-muztar
Chaljayenga us waqt tere qalb pe khanjar
Gore abhi dorenge meri laash ke uppar
Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par
Mei subh se ta asr uthata raha lashe
Daman mei chune qasim-e-nawshaah ke tukre
Lipta Ali Akbar ka kaleja tha sina se
Amma mere chehre pe hai khun-e-Ali Asghar
Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par
Is haal mei amma hai teri god ka pala
Maqtal mei mera khogaya har eik ujaala
Hai kon Sakina ko meri poochne wala
Soeyngi mere sine pe kaise meri dukhtar
Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par
Dekho to qayamt hai bapa ehl-e-haram mei
Khayme se nikal aayi hai Zainab mere gham mei
Ab ane ko hai bibiya(n) bahar koi dam mei
Samjaawo unhe amma rahe khayme ke andar
Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par
Lo saans ubharne lagi dil doob raha hai
Nazro(n) mei meri Zainab-e-muztar ki rida hai
Abid se thi umeed so wo ghash mei para hai
Kya honga mere baad Sakina ka muqaddar
Ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par
Ay "Sarwar-o-Rehan" bayaan kaise ho manzar
Sheh kehte the amma ye kara waqt hai mujpar
Kistarha kaleje se lagu aapke uth kar
Kyu munga qadam aapke ab mei lab-e-quasar
Ke ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par, Jaao ke na ab deyr karo, dekho na amma, ab laal tera zeen pe hai aur na zamee(n) par
Social Plugin