Jaise jaise raat ja rahi hai
ek alam ke saaye may qaime, mehwe dua qaimo may pyase
pyaso ki awaaz fiza may, shukre khuda dohra rahi hai
jaise jaise raat....
door watan se kuch pardesi seh ke aziyat tishnalabi ki
dekh rahe hai jaanibe darya mauj qayamat dha rahi hai
jaise jaise raat....
aamne samne do lashkar sabr idhar us ja khanjar hai
fauj idhar masroofe ibadat ek tayghein chamka rahi hai
jaise jaise raat....
ek behan ko fikr yehi hai raat ye kyon dhalti jati hai
iski sehar ke peeche peeche subhe shahadat aa rahi hai
jaise jaise raat....
kehti hai bachon se maayein aao tumhein aaj sayjayein
waqt yehi qurbani ka hai deen pe musibat aa rahi hai
jaise jaise raat....
wo jo shabihe payghambar hai das pe sina ki uska jigar hai
maut usi ki khaatir naiza maqtal may lehra rahi hai
jaise jaise raat....
jhoola jhoolne wala bacha lori sunkar bhi na soya
bache ko aadabe shahadat lori khud samjha rahi hai
jaise jaise raat....
saath isay is ban may ek maa baal khule bahaale pareshan
jhaadti hai maqtal ki zameen ko roti hai thar-ra rahi hai
jaise jaise raat....
rakhdo qalam rehan o sarwar dard bhara hai subho ka manzar
lehjaye akbar se jo ubhri hote azan wo aa rahi hai
jaise jaise raat....
Social Plugin