wa hussaina
haaye jab hukme rehaayi mila zindaan se haram ko
ek ghar bhi mayassar huwa tarseeda e gham ko
us ghar pe lagaaya gaya ek syaah alam ko
zainab ne kaha rona hai dil khol ke ham ko
phir farshe azaa milke aseeron ne bichaaya
aur shaam ke ghar ghar se paye pursa o girya
ek ghaul azaadaar khawaateen ka aaya
phir majlise awwal ka yun aaghaaz huwa tha
us majlise awwal ki jo awwal thi khateeba
ghar bhar ki azaadaar wohi zainab e kubra
khutba parha aaghaaz kiya majlise gham ka
haaye khutba abhi jaari tha ke ek shor sa utha
ke sar aate hain majlis me shaheedaan e sitam ke
ay bibiyon maatam karo halqe me haram ke
haaye ham lut gaye
haaye barbaad huwe
haaye qaidi bane
haaye dar dar phire
haaye maatam karo
haaye pehle wahaan ansaare hussaini ke sar aaye
hur jaun habeeb ibne mazaahir ke sar aaye
weheb e qalbi ausaja tashna jigar aaye
maatam huwa us pehle azaakhaane me aise
shehzaadiyaan roti ho sage bhaayi ko jaise
haaye ham lut gaye
haaye barbaad huwe
haaye qaidi bane
haaye dar dar phire
haaye maatam karo
haaye ek chaand sa sar dekha ke jo khun me tar hai
sab kehne lage ye kisi naushaah ka sar hai
farwa ne kaha haan ye mera lakhte jigar hai
are qasim mujhe sehra bhi dikhaane nahi aaye
are zindaan se amma ko churhaane nahi aaye
haaye ham lut gaye
haaye barbaad huwe
haaye qaidi bane
haaye dar dar phire
haaye maatam karo
haaye do chote se sar god me sajjad jo laaye
zainab ne kaha aun o mohammad mere aaye
are qurbaan gayi koyi meri god me laaye
royi nahi maatam na kiya pyaar to kar lun
ay bhaayi ijaazat hai inhein aaj to ro lun
haaye ham lut gaye
haaye barbaad huwe
haaye qaidi bane
haaye dar dar phire
haaye maatam karo
haaye jaise hi azaakhaane me akbar ka sar aaya
zainab ne sare aun o mohamed ko hataaya
aaghosh se bhaabhi ki sar akbar ka uthaaya
are chillaayi mere laal zaraa aankhein to kholo
are sughra ke liye hai koyi paighaam to bolo
haaye ham lut gaye
haaye barbaad huwe
haaye qaidi bane
haaye dar dar phire
haaye maatam karo
haaye ek chote se sayyed ka jo sar saamne jo aaya
mub ashkon se maa ne ali asghar ka dhulaaya
har bibi ne us sar ko kaleje se lagaaya
are ro ro ke sakina ko sada deti thi maadar
are aajaawo tumhein dhundh raha hai ali asghar
haaye ham lut gaye
haaye barbaad huwe
haaye qaidi bane
haaye dar dar phire
haaye maatam karo
haaye sar aaya wahaan jab bani haashim ke qamar ka
rote huwe har bibi ne dukhra ye sunaaya
ay zaamine chaadar tu bahot der me aaya
ye dekh ke har bibi ka sad chaak jigar tha
ke pehlu me alam ke hi alamdaar ka sar tha
haaye ham lut gaye
haaye barbaad huwe
haaye qaidi bane
haaye dar dar phire
haaye maatam karo
haaye sar majlise shabbir me shabbir ka aaya
har bibi ke lab pe thi sada haaye hussaina
maatam ki sadaawon me ye zainab ne sunaaya
ke ay mere akhi dekh teri farshe azaa hai
maatam tera is majlise awwal me bapaa hai
haaye ham lut gaye
haaye barbaad huwe
haaye qaidi bane
haaye dar dar phire
haaye maatam karo
haaye lute huwe asbaab me jo chizen mili thi
saadaat se ye shaame gharibaan me chhini thi
tar khun me do baaliyaan bhi un me rakhi thi
ay sarwar o rehan azaadaariye sheh ka
tha pehla azaakhaana saron se jo sajaa tha
haaye ham lut gaye
haaye barbaad huwe
haaye qaidi bane
haaye dar dar phire
haaye maatam karo
haaye hussaina
Social Plugin