haye Sadaat s.a..(4)
haye Sadaat s.a ne is Dehar may kiya kiya dekha..(3)
haye Sadaat s.a ne is Dehar may kiya kiya dekha
apni Aankho’n ko sada khoon hi rota dekha
haye Sadaat s.a ne is Dehar may kiya kiya dekha
Jis Gharanay ne sada logo’n ko Khushiyan bantee’n
unko Khushiyan na milee’n Gham hi ziyada dekha
haye Sadaat s.a ne is Dehar may kiya kiya dekha...(2)
Wo Muhammad s.a.w.w k jo rehmat hain Zamanay k liye
unki Na’lain ko bhi khoon me dooba dekha
haye Sadaat s.a ne is Dehar may kiya kiya dekha...(2)
Sabz Gunmbad k qareeb Marqad e Zehra s.a hai magar
Baap s.a.w.w ne Beti s.a ki Turbat pe na saya dekha
haye Sadaat s.a ne is Dehar may kiya kiya dekha...(2)
Rotia’n mang ke jis Dar se farishtay Kha’in
Eid k roz bhi un Bacho’n ka faka dekha
haye Sadaat s.a ne is Dehar may kiya kiya dekha...(2)
Wo Taqi a.s hon ke Naqi a.s Moosi e Kazim a.s ya Raza a.s
Sakhtiyan Qaid ki aur Zehar ka pyala dekha
haye Sadaat s.a ne is Dehar may kiya kiya dekha...(2)
Pusht pe jisko Bithatay they Rasool e Akram s.a.w.w
Us Nawasay hi ka Sar bar sar e naiza dekha
haye Sadaat s.a ne is Dehar may kiya kiya dekha...(2)
Jis k Bazoo thay Rida Zainab e Kubra a.s ky liye
kaisey Bibi s.a ney Ussay Bazoo Bureeda dekha
haye Sadaat s.a ne is Dehar may kiya kiya dekha...(2)
Subah e Aashoor dhali Sham e Ghareeba’n aai
char pehron me Qayamat ko guzarta dekha
haye Sadaat s.a ne is Dehar may kiya kiya dekha...(2)
Gir Gai Khak pey Ghash Kha key Ali a.s ki Beti s.a
Poocha Sughra s.a ney ky pardes me kya kya dekha
haye Sadaat s.a ne is Dehar may kiya kiya dekha...(2)
Ro diye Sarwar o Rehan jigar tham k hum
jab aza khaney me rakhha hua Jhoola dekha

Social Plugin