(Sogaya lashkar) x2
(Ay shame gharibaan) x3 sogaya lashkar
(Bibiyaan rehgayin) x2
Jalte huwe
Jalte huwe khaimon ki bujhti raakh par
(Bibiyaan rehgayin) x2
1. Dil se lagayae daagh bahattar nawhagar
Bibiyaan rehgayin
Jalte huwe khaimon ki bujhti raakh par
(Bibiyaan rehgayin) x2
2. Shameghariban se kuchh pehle
Jhula chaadar bistar tha
Pehlu mein humshakle payambar
God mein maa ki asghar tha
Godiyaan
Godiyaan khali maange ujri bepisar
Bibiyaan rehgayin
Jalte huwe khaimon ki bujhti raakh par
Bibiyaan rehgayin
2. Haan ye abu talib ka kunba
Betiyan saari haidar ki
Azmate zehra azmate maryam
Izzat thi payghambar ki
Chaadarein
Chaadarein maangti naame payambar darbadar
Bibiyaan rehgayin
Jalte huwe khaimon ki bujhti raakh par
Bibiyaan rehgayin
3. Dhalta suraj soch raha he
Waqte sahar kya manzar tha
Mehwe ibadat zere alam
Shabbir ka sara lashkar tha
Sogaya
Sogaya lashkar jaagne wali raat bhar
Bibiyaan rehgayin
Jalte huwe khaimon ki bujhti raakh par
Bibiyaan rehgayin
4. Darya mojein maar raha he
Pyaas abhi tak baqi he
Shaayad ghazi lot ke aaye
Aas abhi tak baqi he
Dekh zara
Dekh zara zainab ke baradar jaag kar
Bibiyaan rehgayin
Jalte huwe khaimon ki bujhti raakh par
Bibiyaan rehgayin
5. Koi nahin jo puchhle aakar
Kya huwi zainab teri chaadar
Tere to the athara baradar
Kyun he akeli pehre par
Ham safar
Ham safar maqtool huwe sab ham safar
Bibiyaan rehgayin
Jalte huwe khaimon ki bujhti raakh par
Bibiyaan rehgayin
6. Socho zara “rehano sarwar”
Shame gharibaan ka wo manzar
Chaak girehban aaye jo haidar
Dekh ke zainab ko pehre par
Rodiye
Rodiye haidar khaime maqtal dekh kar
Bibiyaan rehgayin
(Ay shame gharibaan) x3 sogaya lashkar
Social Plugin