(Haan ye he shehre shaam) x3
Haan ye he shehre shaam, choti shehzaadi ka he yahin par qayam, aaj roze pe he roshni subho shaam, Pursa daaron ka he maatmi azhdahan, phat raha he jigar sochta hun agar, kaisa tareeq tha, kaisa weeran tha, kaisa weeran tha kal ye zindaan tha, (bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
Itni wehshat ke ik pal na guzre jahaan
Chheekti ho jahaan sirf tanhaiyan
Rona kya siskiyon par bhi pabandiyan
Rassiyon beriyon tauq ke darmiyan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
Sar khule khaak par ghamzada bibiyan
Usmein qasim ki akbar ki asghar ki maan
Maang ujri huwi khali thi godiyan
Sab ki himmat bandhati thi Zainab jahaan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
Haan isi shaam ke beech bazaar mein
Bibiyan patharon ki thi bochhar mein
Khun mein dubi Muhammad ki thi betiyan
Har taraf shaam mein jashn ka tha samaan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
Dekh kar binte zehra ka yun sar khula
Noke neza se ghazi ka sar girgaya
Haye ghazi ki ghairat ka ye imtehaan
Sar patakne lagi saari shehzadiyan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
Ik qayamat si darbar mein aagayi
Jab sakina kaneezi mein mangi gayi
Na padar na chacha bhai bhi natawa
Tori sajjad ghaiz mein beriyan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
Dukhtare hind boli sakina bata
Kaise daman jala kyun he kurta phata
Aurni tere sar ki gayi he kahan
Khainchi kis shaqi ne teri baliyaan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
Boli kya haal apna bataaoun tujhe
Chhor ke jabse baba gaye hein mujhe
Mein yateem hogayi aur kya ho bayaan
Meri gardan mein bandhi gayi rassiyan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
Aur ik roz zindan rone laga
Jab sakina ko baba ka sar milgaya
Boli ab aye ho tum mere baba jaan
Itne din mujhse dur rahe ho kahaan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
Royi "rehan-o-sarwar" ki ankhein lahu
Rozae shahzaadi pe ki guftagu
Haye is waqt hum tum khare hein jahaan
Nur hi nur he kal thi tarikiyan
(Bara roi sakina yahaan) x2
(Haan ye he shehre shaam) x2
Social Plugin