Al Qama bata
Ay al Qama bata
Ay Karbala bata, Ay al Qama bata
Tanha Hussain dekh, rahe the ye majra
Aya tha kis tarha say, tarai me ba wafa
Or kis tarha se khun may tar ho kai reh gaya
(Alam abbas ka, alam abbas ka) x2
Ye wo alam hai jis say, shahidon ki shaan hai Qurbanion ka naam, wafaa ka nishan hai Bachon ki abroo hai, Sakina ki jaan hai
(Alam abbas ka, alam abbas ka) x2
lehra raha hai iska pharera hawaon mai iski bulandyo ka hai charcha fizaon mai sab karbala hai iskai phareray ki chaon mai
(Alam abbas ka, alam abbas ka) x2
phaila huwa iska jo saya Hussain tak rasta isi ne sub ko dikhaya hussain tak hur bhi isi ko dekh kar aya hussain tak
(Alam abbas ka, alam abbas ka) x2
piyaso ka is alam may safina bhi dekhiye panjay mai roshni ka khazina bhi dekhiya lipti hui hai mashk-e-sakina bhi dekhiye
(Alam abbas ka, alam abbas ka) x2
dekh is alam kay saye mai yakja hai kon kon qasim hai baheb-e-kalbiyo Aabis Umairo oun akbar say khoob ruke barabar kharain hain john
(Alam abbas ka, alam abbas ka) x2
ghazi kai khun sai jo mili hai baqa isay hazir ye iftikhar rahay ga sada isay har dor main uthayengay ahle-e-aza isay
(Alam abbas ka, alam abbas ka) x2
bete bichar gaye hain ye dil ko malal hai lakin bahan ko bhai kai haq ka sawal hai zainab ko har dua mai isi ka khayal hai
(Alam abbas ka, alam abbas ka) x2
ay tashnalab wafao kay darya salam lai har apne soghwar ka piyasa salam lai ay karbala kai dast-e-guridan salam lai
(Alam abbas ka, alam abbas ka) x2
Social Plugin