Ashur ki shab hai sakina ka wo rona. Aur sayyade mazlum ke beti se yeh kehna. Are tu roya, me yeh dekh nahi, sakta sakina.
(Achi nahi ye baat na roya karo bibi) x2
(Pehlu me kabhi maa ke bhi soya karo bibi) x2

Kya howe kisi shab ko jo ham ghar me na aaye
Tum hamko na pao tumhe hum bhi nahi paye
Tarpogi nahi dard se wada karo bibi
(Pehlu me kabhi maa ke bhi soya karo bibi) x2
(Achi nahi ye baat na roya karo bibi) x2
Are baitha karo kuch der charago ko buja kar
Samja karo is khaak ko ay laadli bistar
Baali kabhi yuhi nahi pehna karo bibi
(Pehlu me kabhi maa ke bhi soya karo bibi) x2
(Achi nahi ye baat na roya karo bibi) x2
Are kuch der to yeh farz karo ham na rah aagar
Baaki na rahe haath koi rakhne ko sar par
Mahaul yatimo ka bhi socha karo bibi
(Pehlu me kabhi maa ke bhi soya karo bibi) x2
(Achi nahi ye baat na roya karo bibi) x2
Aadat zara tanhayi me rehne ke bhi dalo
Taswir tasawur mai asiri ki banalo
Aazad parindo ko na dekha karo bibi
(Pehlu me kabhi maa ke bhi soya karo bibi) x2
(Achi nahi ye baat na roya karo bibi) x2
Are asghar ko na manoos karo pyaar se apne
Akbar ki urusi ke na dekha karo sapne
Sugra ki karib itna na baitha karo bibi

Social Plugin