haaye kya aalame tanhaayi hai
jab aakhri rukhsat ko chale sayyade waala
kohraam tha dil hote the gham se taho baala
shabbir ne godi se sakina ko utaara
ghaazi ko kabhi akbar o qaasim ko pukaara
baba ko qasam deke bulaati thi sakina
sar pit’ti piche se chali jaati thi sakina
achhe mere baba haaye kya aalame tanhaayi hai
achhe mere baba na sakina se chupaana
kahin bhul na jaana
dil rota hai kyun pehna hai malbus puraana
kahin bhul na jaana
is tarha safar par koyi jaata nahi dekha
pehne tumhe aisa kabhi kurta nahi dekha
mein jaan gayi aaj hai maqtal me thikaana
kahin bhul na jaana
sheh bole mein qurbaan meri jaan sakina
ek waada hai jo aaj nibhaana hai sakina
khaimon se nikal kar na hame dhundhne aana
kahin bhul na jaana
kal raat se bechain the mein dekh rahi thi
mein sine pe leti thi magar soyi kahaan thi
ab samjhi tumhe ham se bohat dur hai jaana
kahin bhul na jaana
aata hai nazar haal gharibi ka tumhaari
lagta hai ye saamaan yatimi ka hamaari
baba hame jine nahi dega ye zamaana
kahin bhul na jaana
akbar kabhi asghar kabhi qaasim ne rulaaya
jo ran ko gaya aaj palat kar nahi aaya
bhuli nahi ab tak mein chacha jaan ka jaana
kahin bhul na jaana
pehlu se shahe din ke na hat’ti thi sakina
daaman kabhi qadmo se lipat’ti thi sakina
tarhpaata hai ye aap ka daaman ko churhaana
kahin bhul na jaana
ay sarwar o rehaan ye kehne lage sarwar
ham bhi wahin jaate hai jahaan sote hain asghar
beti phuphi ammaa ko na ro ro ke rulaana
kahin bhul na jaana
Social Plugin