Chahat ka meri kaisa. Ye mujko silaa diya. Acha kiya baba jo mujko bhula diya. Baba.
(Acha kiya baba) x2 Jo mujko bhula diya (Acha kiya baba) x2
Zinda raho hazaro baras shad ma raho. Baba zamin pe ban ke sada asman raho. Quran tum pe saya Kare tum jaha raho (Parti hu har namaaz-e me) x2 Baba yahi dua. Baba.
(Acha kiya baba) x2 Jo mujko bhula diya (Acha kiya baba) x2
Baba tumhare hijir me khushiyo se dur hu. Lakin tumhare raah me thakti zaroor hu. Bimar naatwa hu ghamo se me chur hu (Ab ke to din bhi eid ka) x2 Rokar guzar gaya. Baba.
(Acha kiya baba) x2 Jo mujko bhula diya (Acha kiya baba) x2
Rato ko jaag jaag ke karti hu ye dua. Kumbe ko raas aye mere dashte karbala. Darya ke pas khayma ho shah ka lagaa huwa (Garmi ke din he ama) x2 Jo sar par rahe rida. Baba.
(Acha kiya baba) x2 Jo mujko bhula diya (Acha kiya baba) x2
Asgher ko bhej do ali akbar ko bhej do. Kuch roz ko sahi meri madar ko bhej do. Koi nahi to bas meri khwahar ko bhej do (Hoto pe ab to sughra) x2 Ka dam he ruka huwa. Baba.
(Acha kiya baba) x2 Jo mujko bhula diya (Acha kiya baba) x2
Karta he kon yun bhi marizo se itna pyaar. Me gulkhizaan rasidaan hu tum ho meri bahar. Wesay bhi ab nasib me mere he intizar (Bujta huwa charag hu) x2 Apne mazar ka. Baba.
(Acha kiya baba) x2 Jo mujko bhula diya (Acha kiya baba) x2
Ha ye kalak he ama ne mujko kiya na yaad. Akber to lene ayenge kitna the ehtemad. Allah ab to puri karenge meri murad (Ayenga jab madine me) x2 Karbal ka kafela. Baba.
(Acha kiya baba) x2 Jo mujko bhula diya (Acha kiya baba) x2
Lagta he meri kabr pe awonge aai pidar. Wo bhi agar pohonch gayi takdir se khabar. Talkin par na pawongi bazu ko tham kar (Tanhaiya uthayengi) x2 Tabut bhi mera. Baba.
(Acha kiya baba) x2 Jo mujko bhula diya (Acha kiya baba) x2
Social Plugin