(Abbas-e-Ali Aaye Karib-e-Shah-e-Abrrar) x2
Bhayi ko Alam deke kiya sheh ne bohot pyar
Has has ke rafiko se ye karne lage guftaar, jaisi ye meri fowj hai waisaa hi Alamdar
Gazi sa koyi deen ka sardar na hoga, Abbas sa dunya mai(n) alamdar na hoga
Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2 Hashim ka kamar haider-e-Karrar pyara
Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2
Haider ke garane ki sakhawat sakhi abbas, khoone abu talib ki sadakat sakhi abbas, zehra ki duwao ki taharat sakhi abbas, kudrat ne banaya nahi phir aisaa dubaraa.
Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2
Qur'an-e-wafa sheyr-e-nayafshaan-e-ali hai, Zehra ki tamanna hai dil-o-jaan-e-ali hai, is ke liye bachpan hi se farmaan-e-ali hai, mei ilm ka darya hu ye darya ka kanara
Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2
Paida huwe abbas to gaudi me utha ker, Zainab ne rakha naam kaleje se lagaa ker, chotaa sa alam sheh ne diya unko sajaa ker, dekha jo alam ne to alam khud ye pukara
Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2
Ye panjetan-e-pak ke lashker ka nisha(n) hai, Kehte hai ye Shabbir meraa shere jawaa(n) hai, Aisa koyi dunya me alamdar kaha hai, Shehwan se hai sheh baaz kalandar ka ye naaraa
Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2
Abbas-e-Ali ruh-e-wafaa jaan-e-wafa hai, Abbas-e-Ali fatema Zehra ki duwaa hai, har waqt alam chumti rehti ye hawaa hai, bhulaa nahi abbas ko darya ka kanaraa
Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2
Dunya-e Shahadat me kaha(n) uskaa hai sani, jo saare shahido ki safo me raha ghazi, be dast bhi ho ker jo bhare joliyaa(n) sabki, hashim ka kamar sare fakiro ka sahara
Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2
Haider ke garane ki sakhawat sakhi abbas, khoone abu talib ki sadakat sakhi abbas, zehra ki duwao ki taharat sakhi abbas, kudrat ne banaya nahi phir aisaa dubaraa.
Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2
Ye panjetan-e-pak ke lashker ka nisha(n) hai, Kehte hai ye Shabbir meraa shere jawaa(n) hai, Aisa koyi dunya me alamdar kaha hai, Shehwan se hai sheh baaz kalandar ka ye naaraa
Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2
Lazim hai ke ham dekhe(n)ge ik roza ye manzar, farmayenge jab mehdiyo dora dar-e-mimbar, kabe se namudaar jo hoga mera lashkar, hoga yahi lashkar ka alamdar hamaraa.
Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2
Yad ata hai wo rukhsate-e-abbas ka manzar, wo rona sakina ka phareyra ko pakar kar, Wo dekhna Zainab ka kabhi sar kabhi chadar, kehti thi palat aye behen bhayi ka pyara
Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2
Abbas gaye hogaya maula mere tanha, dekha kabhi maydaa(n) to kabhi janib-e-darya, nagaah alam nehr pe girte huwe dekha, Zainab se kaha sheyr gaya nehr pe mara
Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2
Ay "Sarwar-o-Rehan" ye imaan hai apna, Abbas ke parcham ka sada sarpe hai saya, parne ke liye hashr mei Shabbir ka nawha, Abbas bulaayenge hame karke ishara
Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2
(Hashim ka kamar) x2 Haider-e-karrar ka pyaara
Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x4
Social Plugin