(Dargaahe alamdaar) x5
(Ya babe hawaaij meri tawkeer barha de, Abbas kate haathon se taqdeer bana de) x2
Zehra se wafadari dunya ko sikhata he
(Parcham ka parehra ye) x2 lehra ke bata he
(Abbas bulata hai) x3
(Parcham ka parehra ye) x2 lehra ke bata he
(Abbas bulata hai) x3
Dargaahe abulfazlil abbas ke saaye mein
Tafreeq nahin koi apne mein paraye mein
(Jo bhi yahaan aata he) x2 khali nahin jaata he
(Abbas bulata hai) x5
Be aas marizon ko dunya ke ghareebon ko
Miskinon ko yateemon ko roti huwe aankhon ko
(Har tute huwe dil ki) x2 ye aas bandha ta he
(Abbas bulata hai) x5
Haidar ke malangon ki is dar pe qataarein hein
Huron ke farishton ki (is dar pe qataarein hein) x2
(Jis jis ka bulawa he) x2 dora chala ata he
(Abbas bulata hai) x5
Who maula qadam ho ya shahbaaz ki nagri ho
Matam jahaan hota ho majlis jahan hoti ho
(Dene ke liye pursa) x2 zahra ko jo aata he
(Abbas bulata hai) x5
Mashhad ho najaf ho ya makka ho baqiyya ho
Who karbobala ho ya shahzaadi ka roza ho
(Dunya ka koi zaair) x2 jab bhi yahaan aata he
(Abbas bulata hai) x5
Bechain he ghabrake khaime mein tehelta he
Kya jurm kiya aisa kyun haathon ko malta he
(Ay hur teri kismat ka) x2 taara ye bata ta he
(Abbas bulata hai) x5
Girte huwe parcham ko dekha shahe wala ne
Zainab se kaha ro kar abbas ke maula ne
(Hum jaate hein darya par) x2 dil doobta jaata he
(Abbas bulata hai) x5
Tum sogaye darya par dekho to zara uth kar
Shabbir ko ghere hein no lakh ka ye lashkar
(Jab teer koi dil par) x2 aaqa ke rakha ta he
(Abbas bulata hai) x5
"Rehan" ki "sarwar" ki maula se wafaaein hein
Abbas ke roze pe nawha liye aaye hein
(Shahzaadi sakina ka) x2 nawha jo sunata he
(Abbas bulata hai) x5
Social Plugin