Hussain
imam hussain
teen shaaban sadaae qaunain
marhaba salle ala hogaya zahoor e maula hussain
aaghoshe fatema se husain aaghoshe risaalat me aaye
hussain dekh ke nana ko muskurate hain
magar ye kya huwa chashme rasoole akram se
khushi ke wakt bhi aansu tapakte jaate hain
sawaal kardiya zehra ne ay mere baba udaas kyun huwe
kyun sogwaar hai chehra
kaha rasool ne zehra mai khush huwa
ye tera laal mere deen ko bachaega
mein roya is liye zehra watan se door
pyasa akela ghareeb ye mara jaaega
aur us qayaamat me na mein na tum
na ali honge na hasan hoga
na koyi apna na pyara hoga
kinare nehr ke be goro be kafan hoga
tadap ke puchha nabi se hussain ki maa ne
ke mere baba uspe kon royega
kaha rasool ne zehra na fikr kar beti
khuda ki samt se maujood ek kabila hai
jo royega taa hashr uska waada hai
jo na hussain ko bhulega na husain usko bhulega
saare jahaan se unki musalsal sada hogi
hussain
waada hai hamara ya fatema zehra
nahi bhulenge hussaina
usne hamko na bhulaya hamne usko na bhulaya
husseinun hubbuhu yamhul khataaya
huwa nurul ladhi yuhdhil baraaya
minhu lah badrul huda lan nensah tulil madaa
abad wallah ya zehra ma nensa hussaina
hallah hallah ya waliena
ehna khiddamak je'na
waada hai ye wallah ya fatema zehra
waada hai hamara ya fatema zehra
nahi bhulenge hussaina
qasam allah ki wo jisne hame khalq kiya
aur hame karbobala ke liye makhsus kiya
ham wohi log hain wallah dua e zehra
usne halmin jo kaha nasirin yansurna
hamne labbaik kaha
usne hamko na bhulaya hamne usko na bhulaya
hussain hussain
abad wallah ya zehra ma nensa hussaina
hallah hallah ya waliena
ehna khiddamak je'na
waada hai ye wallah ya fatema zehra
waada hai hamara ya fatema zehra
nahi bhulenge hussaina
azam allaho lakal ajra ali
bil musiba ya hayder ya ali
ya ali aapke har ranj o masaaeb ki qasam
aapke gham ki hai makrooz ye nasl e aadam
chauda sadiyon se musalsal hai azaa o matam
go ke har chand huwe hath kalam paon kalam
zaayer e karbobala ke na ruke phir bhi qadam
azam allaho lakal ajra ali
bil musiba ya hayder ya ali
law qatau'u arjulna wal yadayne
na'atik zahfa sayyidi ya hussain
hussain hussain
abad wallah ya zehra ma nensa hussaina
hallah hallah ya waliena
ehna khiddamak je'na
waada hai ye wallah ya fatema zehra
waada hai hamara ya fatema zehra
nahi bhulenge hussaina
ek waada hai jo shabbir se ham sab ne kiya
ek waada hai jo shabbir ne bachpan me liya
apne maa baap se nana se baradar se kaha
aap sab mere azaadaaro ko kya denge sila
bole sarkaar e mohammad mein shafa'at dunga
bole haidar ke mein kausar ki bashaarat dunga
aur hassan bole mein sardaar hun jannat dunga
boli zehra tera waada hai shahaadat dunga
mein bhi jannat me na rakkhungi qadam mere hussain
jab talak khuld me jaaye na azaadaar e hussain
hussain hussain
abad wallah ya zehra ma nensa hussaina
hallah hallah ya waliena
ehna khiddamak je'na
imam hussain
waada hai hamara ya fatema zehra
nahi bhulenge ya zehra
aati hai fatema zehra ki sada
ay azaadaaro suno
ay azaadaaro na jab tum bhule
bhul jaaye tumhe zehra kaise
mujh pe kya kya na masaaeb toote
mera do baar jala ghar logo
mere pehlu pe ghira dar logo
daagh e mohsin hai jigar par logo
mujh ko darbaar bulaa kar logo
kaata hai qalb e payambar logo
nahi bhulenge ya zehra
na mein abbas e alamdar ke baazu bhuli
na mein zainab ka tarapta kisi pehlu bhuli
gard aalood sakina ke na gesu bhuli
na hi sajjad ke khoon rang wo aansu bhuli
nahi bhulenge ya zehra
apne bachhe ke rafiqon ko bichharta dekha
khaaq par aun o mohammad ko tarapta dekha
meine tukre huwe qasim ka janaaza dekha
eriyaan khaaq pe akbar ko ragarta dekha
meine asghar ka galaa teer me uljha dekha
jis ghari laal mera zeen se reti pe ghira
tera zarbo se mere saamne sar uska kata
hussain hussain
haay phir shaame ghareeba ne mujhe lut liya
wo rida meri thi aadaa ne jise lut liya
mein na bhulungi wo baazaar
haaye wo shaam ka darbaar
nahi bhulungi wo zindaan
haay mera aabid e beemar
zehra zehra
zehra nahi bhulenge
hargiz nahi bhulenge
shabbir ki ghurbat ko
neze pe tilaawat ko
zehra nahi bhulenge
hargiz nahi bhulenge
abbas ko akbar ko
qasim ali asghar ko
zehra nahi bhulenge
hargiz nahi bhulenge
jalte huwe khaimon ko
chhinti huwi chaadar ko
zehra nahi bhulenge
hargiz nahi bhulenge
zainab ki shuja'at ko
aabid ki qayaadat ko
zehra nahi bhulenge
hargiz nahi bhulenge
abad wallah ya zehra ma nensa hussaina
hallah hallah hussain wainah
bis suyuf magta'ainah
abad wallah ya zehra ma nensa hussaina
Social Plugin