(Aa mere pyasse husain) x3

    Aa meri god ke pale, mere husain aa. Mere garib aa zara, maa ke karib aa. Sinaa phigar he tera, mujko he ye pataa. Dashte-e balaa me fatema, zehra ki thi sadaa.

    (Aa mere pyaare husain) x2
    Kisne mere jigar pe, ye khanjar chalaa diya. Kisne mere husain-e ko, pani nahi diya. Khud chal ke kyu na agaya, darya ko kya huwa. Ek bar maa pukar ke, godi me let jaa.

    (Aa mere pyaare husain) x2
    Sehroz ki ye pyaas ye, jalti huwi zamin. Chehra lahu lahu tera, donim he jabin. Mazloom mere lal ke, jeisa koi nahi. Tiro se mere lal ka, sina bhara huwa.

    (Aa mere pyaare husain) x2
    Pehle to babajan ko, royi me zar-e zar. Royi ali ko kabr pe, dil ho gaya figaar. Ik lal tha hasan mera, uski hu sogwar. Ab tere gham me kabr me, rehne nahi diya.

    (Aa mere pyaare husain) x2
    Ataa hai yaad mujko, madine me apna gar. Chakki ma pisti thi, magar tum pe thi nazar. Tum ko sulaya karti thi, raato ko jaag kar. Ab me jagaane ayi hu, ay lal jaag jaa.

    (Aa mere pyaare husain) x2

   
    Ik bar maa pukar le, bilkul usi tarah. Jule me julte huwe, kehte the jis tarha. Wo bachpane tera muje, bhulenga kis tarha. Mere bahgair chain se, ik pal nahi raha.

    (Aa mere pyaare husain) x2
    Ma hu muje bataa, tera sine pe kya huwa. Kyu he kamar juki huwi, chehra lahu bhara. Abbas he kaha, ali akbar kaha gaya. Ha thak gayaa he aa meri, godi me lal aa.

(Aa mere pyaare husain) x2